#1 [url]

May 5 07 1:44 AM

QUOTE (dilip200 @ April 30, 2007 03:38 pm)
QUOTE (sakhi1909 @ 29, 2007 11:33 pm)
aaj kuch khyaal yuhi chale aaye kisi ka likha hua kuch pada to.... apki nazar kar rahi hun mein...apni ye ek dam taza likhi peshkash

tanhaaiyaa mili to ham ghbara ke ro diye
jab yaad teri aai to dil tadpaa ke ro diye

jab naa dikha koi hamein apne aas pass
tab yaad teri har taraf bikhara ke ro diye

tum is tarah gaye ki har khushi sath le gaye
jab dukh ne aake ghera to ghabra ke ro diye

koi bhi yaad na kare hamein aaj kal' sakhi'
ye baat yaad aayi to dil ko samjha ke ro diye

sakhi

sakhi ji namaskar


aaj kafi dard pesh kiya hai aapne apni is gazal main

ehsason ka to bus poochiye mat bahut khoob hai.n

koi bhi yaad na kare hamein aaj kal' sakhi'
ye baat yaad aayi to dil ko samjha ke ro diye

is sher par to lagta hai jaise kaleja nikal kar rakh diya hai

daad hazir hai

shurkiyaa

dilip

dilip ji bahut bahut shukriya padne ke liye aur smjhne ke liiye...

yuhi sath dena
sakhi