#1 [url]

Apr 29 07 9:39 PM

QUOTE (Aadil Raza "Aadil" @ 26, 2007 02:57 pm)
Aab-e-zu aankho se pilaya hoga

Jab kabhi halaat ne osko sataya hoga ,
Payari jhelon main tufaan sa aaya hoga .........!!

Ye hai mashoor ke mai.n oska or wo mera ,
Ghar main gair ke .....osne bulaya hoga .........!!

Jab bhi barsaat kabhi payasi hogi ,
Aab-e-zu aankho se pilaya hoga ..................!!

Humko tu aah se ranjish or dua se toba ,
Tumne kis tarha inse nibhaya hoga............!!

Hai nahi koi Jasn-e-barbadi ka gawah,
Dar gaye "aadil" aapna hi saya hoga .........!!

BAHUT KHUB

AHSAS KO BAHUT GAHRAI SE LIKHA

SHAKUN PANCHHI LAYE AAS
SHUKOON KA LAYE AHSAS