#1 [url]

Apr 25 07 3:38 PM

QUOTE (Nazish313 @ April 07, 2007 02:43 pm)
GHAM-E-ZINDGI

Ik konay main tanha
Paremi hai pada
Gum sum sa woh
Mehromion say aashna

Armanoon ka dhuwan
Khayaloon say rawwan
Gham main uljha hua
Roogoon main pinhan

Muqqadar ka shaki
Bacha ab kia baaqi
Balao na gardab main
Na do Jaam saaqi

Na malaap tha shaid taqdeer main
Kia rakhha hai is lakeer main
Lauh-e-mohabbat say jo mit chukka
Dhondtay ho kayu tabeer main

Gullab pay bulbul mundhlay
Mairay dil ko qarar na aye
Mairay bichday huay dost
Teri yaadoon ko
Maira dil kaisay bhulay

Dil k tum makeen ho
Teray khayaloon say
Ye haseen ho
Tery yaad say
Ye ghamgeen ho
Na tedpao, bus
Apna deedar kerao

Teri tahreer ko ham tersay
Ulfat say Aankhh bersay
Tumhain majboor kahoon yaa maghroor
Maghroor be tum kia khoob ho
Laikan Phir be
Mairay Mehboob ho

Dr Imtiaz Nazish

salam

hamesha ki tarah dard ko shandaaaaaaaaar andaz main bayan karne ke liye dad hazi he


Na malaap tha shaid taqdeer main
Kia rakhha hai is lakeer main
Lauh-e-mohabbat say jo mit chukka
Dhondtay ho kayu tabeer main justju/239.gif justju/239.gif justju/239.gif sad.gif-->justju/310.gif sad.gif-->justju/310.gif


keep writing
Allah Hafiz

user posted image

Mangi thi mene tumse mohabbat ki zindagi
Tumne to zindagi ko mohabbat bana diya