#1 [url]

Apr 1 07 11:44 PM

QUOTE (aarzoo @ March 20, 2007 02:10 am)
QUOTE (sakhi1909 @ March 18, 2007 01:02 am)
Dosto
aaj mein aap sabhi ke liye ke naye rang mein doob kar likhi hui rachna laai hun...naya isliye kah rahi hun mein aam taur par yaisa khyaal likh nahi pati hun....

par aarya ji shukun di aur anil ji...aap logo ka mein aabhar vayakt karti hun jo aap logo ne mujhe ye vichar vayakt karne ke liye kaha ya yaisa kah loo ki aap sabke aagarh ko talnaa shayad mushkil tha isliye ye mushkil topic mein hal karke ye rachna bana paai..
aap logoin ko hi is rachna ko samarpit kar rahi hun pyaar ke sath...asha hai aap sabhi ise apni salah se jarur nawajenge...


pyaar ka ek sapna chunu


Jee chahta hai mera raat ka ek tukda chunu
Us tukde ko mein pyaar ke khwabo se bharun
Chandani biakhara dun har taraf kuch is tarah se
Sang mein chandani ke taroin ki baarat chunu

Lene aaye mujhe koi taaroin ki barat ke sang
Mujh par chad jaye phir bas ek uska hi rang
Us lamhe ko teri baahoin mein gujar dun mein
Us ek lamhe mein ye jindagi nisaar dun mein

Pyar ka meeta sa ek har taraf se raag uthey
Koi sajinda naa ho phir bhi kai saaz bajey.n
Har taraf faila ek khushhaal mast mausam ho
Kaisa hoga who Milan jismein saare rang bharun

Pyar jo tera mile mujhko to ye mera  waada hai
Pyaar se tujhko mein phir apni in bahoin mein rakhun
Isliye Jee chahta hai mera raat ka ek tukda chunu
Us tukde ko mein pyaar ke khwabo se bharun


aap sabhi ki sakhi with love justju/643.gif

waahhhhhhhh sakhii gudiyaaa kitne meethe ehsaas dua hai ke is ehsaas ke rang zindagi main bhar jaain...dua hai ke har khushi muyyasar ho....do take care n god blesss....bohot khoobsurat likha hai khush raho.

didi
bahut acha lagta hai jab aap sabhi ka pyaa dulaar yahn mujhe milta hai aur mera likha hua apko pasand aata hai...
shukriya di pyar se sath dene ke liye hoshla badane ke liye..
aapka sath rahega to sakhi dukhi nahi rahegi na khush rahegi..
with love sakhi