#1 [url]

Mar 31 07 2:56 AM

QUOTE
sakhii ji namaskar

ek bahut hii umda kalam likha hai aapne har ek ehsas bahut hoob hai

waise to mujhe esa karne ka koii haq nahi per fir bhiii ek word jo mujhe kuch jam nahi raha main use edit kar raha hoon...... aapko bura to lagega per main muaafii ka talab gaar hoon..........

Jee chahta hai mera raat ka ek tukda chunu
Us tukde ko mein pyaar ke khwabo se bunu.N
Chandani biakhara dun har taraf kuch is tarah se
Sang mein chandani ke taroin ki baarat chunu


Pyar jo tera mile mujhko to ye mera waada hai
Pyaar se Usko phir apni in bahoin mein zakadoo.N
Isliye Jee chahta hai mera raat ka ek tukda chunu
Us tukde ko mein pyaar ke khwabo se bharu.N

kalam bahut hii umda hai daad hazir hai..........

ek baar fir se muaafii chahta hoon.n

tc

bye

aapka dost

dilip


dilip ji
dost hke itni mafi mangte ho kyun???
are jab apko laga ki chang ho sakta hai to apne bataya acha laga mujhe.
har koi thodi hi batata hai kisi ko.

ye to hak banta hai dost ka ki agar kuch thik na lage to bata de..isme bura manne ki koi baat nahi hai.
shukriya dost aap yahn aaye aur saraha

yuhi kamiya batana aur sath dena hameshaaaaaaaaaa

sakhi