#1 [url]

Mar 18 07 12:46 PM

zakhm-e-dil aur gahara kiya
ik dard wahan phir thahara diya

jata wahan se to jata kahan wo
ashkon ne pal pal pahara diya

Bahut khoob Anil ji....


anjam-e-ishk hai ilzam-e-bewafayee
tumne ise bas dohara diya

us se age na dekha tha kuch bhee
rishte ne bas ik kohra diya

Bahut khoob....


kisee ne poocha hal-e-dil mera
jo chaha tha tumne dohara diya

mangee jo dil men jagah us ke maine
andhere se kamare men thahara diya

Ufff... kya baat hai...


dekhbhal karana kaha poore man se
us ne jab zakhm mujhko hara diya

wo suntee nahee gazal aaj meree
shayri ko jisne ye chehra diya

Waaaaaaaaaaaahhhh...

Dearest Anil ji,

Kaise hain? Ummeed hai bahut acche se honge...

Bahut dinon ke baad aapko padha... aur yakeen maaniye dil khush ho gaya... bahut hi khoobsurat likha hai aapne... Har lafz dil ko chhoota hai... Dil se daad kubool kijiyega... apna khayal rakhiye...