#1 [url]

Jan 21 07 10:09 AM

Gar bura ho waqt to Sahaare saath chhod jaate hai
Mout ke waqt to khazaane bhi saath chhod jaate hai

sach kaha hai aapne ek gahri sachhayi hai


Gar ho gumaan-e-quwwat to tu maazi ko na bhool
Azab-e-ilaahi me to fasaane bhi saath chhod jaate hai

wah wahhhhhhh wahhhhhh

BahaaroN pe na itna itraa tu khizaoN ko na bhool
khizaaoN me to bhawareiN bhi saath chhod jaate hai

bhaut khoob bhaut khoob

Saahil tu apne wajood pe itnaa takabbur na kar
Aaye toofaN to nazaare bhi saath chhod jaate hai

haan tufaan mai sabhi nazare bhi badal jaate hai

‘Asif’ daal de safeena dariyaa me patwaar ki fikr na kar
Imtahaan-e-ishq me to parwaane bhi saath chhod jaate hai



wah wah asif ji kya gazab ka likha hai sach ek ek sabad aur kahne ka tarika salahiyon se bhara aur tanzia bhi hai bhaut achha laga padha aapko


sada khush rahe
shrddha

user posted image